Hasya


Nahin chubhte ab aansoon bhi in aankhon mein,
in ke sang hi ab zindagi katni hai saari.

Nahin hota ab mehsoos dard jale ka bhi hume,
in zakhamon se bhi dosti ho gayi hai hamari.

Nahin socha tha yeh din bhi ayega is zindagi mein kabhi,
rozana khana pakana hi taqdeer ban gayi hai hamari.


‘Aansoon’ refers to all that crying while cutting onions.. hee hee.. and ‘Zakhm’ to normal hote hai at least once in a while when cooking… I started cooking when I came to US. Never imagined that some day I will be doing this stuff.. and even more.. I cook pretty decent.. apna time pass ho jata hai. But I miss mom ke haath ka khana soooo much..

Teri yaad mein kabhi kabhi do ghoont laga lete hain,
phir apna bhool.. padosan ka darwaza khat-khata dete hain.

Kabhi khayi thi kasam.. tere siva kisi aur ki taraf na dekhenge,
isi liye uski soorat mein bhi.. teri hi kalpana kar lete hain.

Nahin lagayenge yeh dil phir kabhi kisi padosan se dobara,
yehi soch kar.. har mahine apna mohalla hi badal dete hain.


A friend has been asking me to write something funny.. unse kuch poocho about my shayari to jawab aata hai ke no comments until I start writing Hasya stuff.. so here I am giving Hasya a try.. Earlier entries in Hasya category were kind of based on my real life situations.. so this is the first time I have to put some real effort in Hasya..

Aapka ek aur janamdin nazdeek aya,
mujhe mere credit card pe bahut taras aya.

Dil bola ek gift hi order kar lo,
card bola thoda balance to transfer kardo.

Arre unki bahut hai value mere bhai,
card bola mera APR bhi bahut hai high.

Thaan liya ke ek tohfa to bhej kar rahenge,
card bola hum bhi Over The Limit ja kar rahenge.

Over the limit hua to yeh card bhi freeze ho jayega,
phir bill na diya to yeh phone bhi cease ho jayega.

Socha ke tum mere tohfe ke bina to jee loge,
par meri good night call ke bina na so paoge.

Bahut soch humne tohfe ka idea kiya trash,
is saal tum bus hamari wishes hi kar lo cash.

Athrah ke huye to socha drving license banwayen,
ab to bin dare Ludhiane ki sadkon pe gaadi chalaayen.
Papaji ne kaha.. beta.. license to main tera ghar baitha banwa doon,
par sochta hoon ke tujhe sarkari daftaron ke darshan to karva doon.
Jawani ke josh mein Papaji ki baat humne maan li.
apna license khud banwane ki humne bhi thaan li.

Subah subah form jama karvane.. hum to kachehri ko nikal gaye,
aage pacchas logon ki kataar dekh.. hamare to pasine hi nikal gaye.
Himmat na haar.. hum bhi lag gaye apne number ke intezaar mein,
laga jaise ek masoom.. phas gaya ho zaalimon ke bazaar mein.

Number mera aya.. to humne chain ki saans li,
par afsar ne form attest karane ko bol.. meri phir jaan li.
Notary se humne form attest karvaya,
paanch baj gaye to humne kachehri ko band hi paya.

Agle din hum phir lage usi kataar mein,
Par afsar bola aapne Notary ka chakkar lagaya ekdum bekaar mein.
Tehsildar ka attest kiya huya form hi hum lete hain,
baat nahin mani to hum tension bhi bahut dete hain.

Tehsildar ka office mila to unhe kisi meeting mein paya,
peon bola intezaar karo.. main sahib ka status dekh kar ke aya.
Dus minute dus minute karte.. ghadi ne phir paanch dikha diye,
hataash ho phir.. humne apne kadam ghar ko bada liye.

Subah subah daftar ke bahar humne phir apna dera jamaya,
tees rupaye doge to kaam hoga.. wohi peon chillaya.
Itni baat thi to kal hi keh dena chahiye tha,
woh bola.. kaam kaise hota hai.. aapko to pata hi hona chahiye tha.

Form attest huya to hum kataar mein phir lag gaye,
bina koi dar.. sadkon pe drive karne ke sapney phir jag gaye.

Is baar afsar bola blood group ka proof dikhao,
mere medical card ko expired dekh kehta blood test tum phir se karao.
Card expired hai bhaiya par blood group to change na hoga,
bola.. test dobara nahin karaya to tumhara kaam bhi na hoga.
License ke khatir humne phir ek sui bhi lagvayi,
license to mila lekin itna hone par bhi mujhe akal na ayi.

Chota bhai athrah ka hone pe poochta hai license kaise banwaoonga,
Papaji ne mujhe dekha to maine keh diya.. hanji Papaji.. ise bhi main hi le jaoonga.


This is what I had to go through to get my Driver’s License…

Raaton ko neend nahin,
din mein chain nahin.
Phoolon mein khushboo nahin,
geeton mein sur nahin.
Arrey huzoor.. ise ishq nahin.. zukhaam kehte hain….


You can probably guess.. I was down with cold when I wrote this 😛

kabhi idhar to kabhi udhar dekhte hain,
par har taraf sirf tumhe hi dekhte hain.
dil ne kaha ke shayad ise hi pyar kehte hain,
par phir dimaag chillaya.. bhag beta.. ise lendaar kehte hain.